Masail
Chasht Ki Namaz Kab Shuru Hota Hai. Kitni Der Tak Rahta Hai. Chasht Ki Namaz Kitne Rakaat Padhna Hai.
Jawab: Huzoor Sadrushshariah Badruttariqah Irshad Farmate Hai Namaz E Chasht Mustahab Hai. Kam Az Kam 2 Aur Ziyadah Se Ziyadah Chaasht Ki 12 Rakatein Hai. Aur Afzal 12 Hai Ke Hadees Mein Hai Jisne Chasht Ki 12 Rakatein Padhi. Allah Uske Liye Jannat Mein Sone Ka Mahal Banayega. Namaz e Chasht Ka Waqt Aftab Baland Hone Se Zawal, Yani Nisfunnahaar E Shar?ee Tak Hai Aur Bihtar Hai Ke Chauthaai Din Chadhe Padhe. n(Bahar E Shari?at Hissa 4 Sunanan O Nawafil Ka Bayan) n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—