Masail
Eid e milad ke mauke par jo jande lagaye jaate hai ki jisme Huzoor ka naam mubarak aur madina sareef ka photo rehta hai
To aise jando, yaa aur chizo ko istemal karne ke baad unhe kis tarah rakhna chahiye aur khas to fat jane ke baad kya karna chahiye ki jisse gunaah bhi a ho aur beadbi se bhi bacha jaye ? Jawab: Aise jhando ka adab zaruri hai. Unhe Ta’zeem ki jagah rakhein. Aur boseeda ho jaayein to dafn kar diya jaaye. n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—