Masail
Fajr ke sunnat ki adaigi me dusri rakat par attahiyat kiya aur 3ri rakat ke liye khada hogaya aur isi tarah 3ri rakat padhi.
Magar douran e 3ri rakat ye yaqeen ahi ke attahiyat kiya tha ya ye 3ri rakat hai? Phir ye sochkar ke shayad galati hogaya hai. Sajda e sahw kiya aur amaz mukammal kiya. Is soorat me kya hukm hona chahiye. Jawab: Agar pehli martaba aisa hua hai to Dobara Namaz parhe. Warna Jis taraf Gaalib gumaan ho uska etebaar kare. Yaani agar gaalib gumaan hai ke ye teesri rekat hai to laut jaaye aur sajda e sahw kare. Aur gaalib gumaan hai ke dosri rekaat hai. To ise mukammal kare aur akhir me sajda e sahw kare. n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—