Masail
Hadees Shareef Mein Hai Ki Har Biddat Gumraahi Hai, Toh Isse Kaunsi Biddat Muraad Hai?
Jawab: Is Hadees Shareef Se Sirf Biddat e Sayyeaa Muraad Hai. n(Dekhiye Mirkat Sharah Mishqaat Jild Awwal Safa 179 Aur Ashi’atul Lamaat Jild Awwal Safa 125) Isiliye Ki Agar Biddat Ki Tamaam Qisme Muraad Li Jaaye. Jaise Ki Jahire Hadees Se Mafhoom Hota Hai. Toh Fiqah, Ilm e Kalam Aur Sarf wa Nahu () Wagairah Ki Tadween Aur Unka Padhna Sab Zalalat wa Gumrahi Ho Jaayega.
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—