Masail
Hazrat kai log bahut bade aawaz se namaz aur Quran padhte hain masjido mein. Aisa karna kaisa aur unke liye kya hukm rahega?
Jawab: Agar koi Tan’ha hai, to uske liye hukm hai ke itni aawaz se qirat kare ke khud soon sakein. Agar isse zyadah aawaz me karta hai ke door tak aawaz jati hai aur aas paas koi maujood ahi, to harj ahi. Lekin aise mein agar dosre bhi maujood hai aur apne Auraad o Wazaaif, Tilawat o Ibadat mein mashgool hain, to chahiye ke ahista parhe. Warna parhne wala Gunahgar hoga aur agar log sunne ke liye hi baithe hai, to buland awaz me parhe. Aise mein agar koi a sune aur dusre kaam karne lage, to wo sunne waala gunahgar hoga. n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—