Masail

Hazrat Namaz Mein Ya khaana khaate waqt topi pehna kaha se sabit hai

Kya ye sunnat tarika hai ya sirf adab ke lihaz se hai ? Jawab: Namaz me sar dhankne se Muta’lliq Huzoor sadrushshari’ah badruttariqah irshad farmate hain Susti se ange sar amaz padhna yani topi pahanna bojh ma’loom hota ho, ya garmi ma’loom hoti ho makrooh e tanzihi hai Aur agar tahqeer amaz maqsood Hai. Maslan amaz koi aisi muhtam bishshan chiz ahi jiske liye topi amamah pahna jaaye to ye kufr hai aur khushu o khuzu ke liye sar barhana padhi to mustahab hai. Namaz mein topi gir padi to utha lena afzal hai. Jab keh amal e kaseer ki haajat a pade warna amaz fasid ho jaayegi aur baar baar uthani pade to chhod de aur a uthane se khuzu maqsood ho to a uthana afzal hai n(Bahar e shari’at hissa 3 safah 171 makroohaat ka bayan) Hadees shareef mein hai sarkar e aqdas irshad farmate hain keh hamare aur mushrikeen ke maa bain ye farq hai keh hamare hamare amaamah topiyo par hote hain. n(Tirimzi shareef / Bahar e shari’at hissa16 safah 41 libas ka bayan) Maujoodah zamane mein wahabi gair muqallid topi pahanne se inkar karte hain aur unke baare mein Aala hazrat azeemul barakat saiyyiduna imam ahmad raza fazil e barailvi irshad farmate hain Gair muqallideen zamana bahukm e fuqha o tasreehaat e aamma e kutub e kutub e fiqhiyya kafir the hi aur tajarba e sabit kar diya keh woh zaroor munkiraan e zarooriyaat e deen hain aur unke munkiro ke haami o hamraah to yaqeenan qat’an ijma’an unke kufr o irtedaad mein shak ahin. n(Fatawa razviyyah jild 3 safah 355) Aur rahi baat khana khate waqt to ye khane ke Adaab se hai ke Sar dhank kar khaya jaaye aur imam o topi pahenna Momin ki shaan aur kuffar se imtiyaz ka ek Nishaan o Alaamat hai. Wa-Allahu Ta’ala A’lam n

—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button