Masail
Hazrat Zaid Ko Sadak Par Se Foreign Currency Ke Kuch Sikke Mile.
Jo Usne Apne Purse Me Kafi Saal Rakhe Par Kharcha Nahi Kiye Aur 1 Sikka Apne Dost Ko Gift Kar Diya. Ab Zaid Ko Ehsaas Hua Ke Wo Sikke Uthana Galat Tha. Ab Zaid Ko Kya Karna Chahiye? ANSWER Zaid Mazkoorah Raqam Faqeero Ko De De Aur Agar Khud Faqeer Hai To Khud Bhi Kharch Kar Sakta Hai. Aur Agar Un Sikko Ka Malik Mil Gaya To Use Bata De, Ke Tumhari Raqam Sadqa Kardi Hai. Agar Woh Raazi Ho Jaaye To Sadqe Ke Sawab Uske Liye Hai Aur Agar Raazi Na Hua To Use Woh Sikke Lautaane Honge Aur Jo Kuchh Sadqa Hua Uska Sawab Zaid Ke Liye Hai. n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—