Janaze Ko Ghusl Me Ek Martaba Saare Badan Par Paani Bahana Farz Hai Aur teen Martaba Paani Bahana Kaisa hai?
Mas’Ala: Ek Martaba Saare Badan par Paani Bahana Farz Hai Aur teen Martaba Sunnat. Jaha Ghusl de, Mustahab Yah hai ki parda karle ki siwa Nahlaane waalo Aur Maddagaaro ke Dusra a dekhe. Nahlaate waqt khwaah us Tarah Litaaye Jaise Qabr me Rakhate Hai. Ya Qible Ki Taraf Paanv Karke, Ya Jo Aasaan Ho kare. n(Aalamgeeri) Mas’Ala: Nahlaane waala Paak ho. Junub, Ya Haiz Waali Aurat e Ghusl diya To Karaahat Hai. Magar Ghusl ho jaayega, Aur Be-wazu Nahlaya To Karaahat bhi ahi. Behtar Yah hai ki Nahlaane waala Mayyat ka Sab se Karibi Rishtedaar ho. Wah Nahlaaye Aur Agar Nahlaana a Jaanta Ho. To Koi Aur Shakhs Nahlaaye Jo Amanatdaar wa Parez gaar ho. n(Aalmgeeri) Mas’Ala: Nahlaane waala Ehtimaad wala shakhs ho ki puri Tarah Ghusl de. Aur Jo Achhi Baat dekhe, Maslan Chehra Chamak Utha, Ya Mayyat Ke Badan se Khushbu Aayi. To use Logo ke saamne bayaan kare. Aur koi buri Baat dekhi, maslan chehra ka Rang siyaah ho gaya, badbu Aayi, ya Surat Ya Aaja me Badlaaw aaya. To ise kisi se a kahe Aur Aisi Baat kahna Jaayez Bhi ahi. Ki hadees me irshad huwa murdo ki khubiyaan zikr karo Aur unki buraiyoon se baad Raho. n(Johra Nayyira) Bahar-e-sahari’At 4th Hissa safa 109 n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—