Khabar e mustafeez kise kahte hai ?
Jawab: Jis islami shaher me hakim e sharai qazi e islam ho ke Ahkam e hilal usi ke yahan se saadir hote hain aur khud Aalim aur un ahkam me ilm par Aamil o Qaaim ya kisi Aalim e deen muhaqqaq mo’tamad par etemaad ka muntazim o mulazim hai. Ya jahan qazi e shara ahi to mufti e islam marja e awam o matba ul ahkam ho ke ahkam e roza o eidain usi ke fatwe se ifaz paate hain. Awam e kalAn’aam ba taur e khud eid o ramzan ahi thehra lete, wahan se muta’ddid jama’atein aayein aur sab yak zaban apne ilm se khabar den ke wahan fulaan din bar bina e ruyat roza hua ya eid ki gayi. Is par qazi e islam ruyat e hilal ka hukm de sakta hai. Ise khabar e mustafeez kehte hain. n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—