Khade Ho Kar, Ya Lait Kar, Ya Nange Ho Kar Peshab Karna Kaisa Hai?
ANSWER Jab Aadmi Pakhane Ko Jaaye To Mustahab Hai Ki Paakhane Se Baahar Yah Padele. Dua: Bismillahi Allahumma Inni Aauzu Biqa Minal Khubusi Wal Khabais. Tarjama: Aye Allah Main Teri Panah Maangta Hoon Naapaki Aur Shaitanose. Phir Baaye (Left) Paav Daakhil Kare. Nikalte Waqt Pahile Daahina (Right) Paav Baahar Aur Baahar Nikaal Kar Yah Padeh Dua:Gufraanaka Alhamdu Lillah Hillazi Azhaba Anni Maa Yuzeeni Wa Am Siqa Alayya Ma Yan Fauni Tarjuma: Allah Se Magfirat Ka Sawal Karta Hoon Hamd Hai Allah Ke Liye Usne Mere Pait Se Wah Cheez Nikaali Jo Mujhe Taklif Deti Thi Aur Wah Cheez Roki Jo Mujhe Nafa Degi. Khade Ho Kar Ya Lait Kar, Ya Nange Ho Kar Peshab Karna Makrooh Hai. Bahar-E-Sahari?At Hissa Dusra Safa 92,93
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—