Masail

Khuda Ne Kaha:- nSoon, Aye Bande Sirf Ye Zaahir Karna Mera Maqsud Tha nJab ?DULHAN? Mustafa ﷺ Ke Ghar Se Hai, nTo ?DULHA? Khuda Ke Ghar Se Hona Chahiye ! nYaume Wiladat Maula Ali رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ Alahe Salaam Mubarak n

Sab Se Pehli Baat To Ye Jo Qaul Zikr Kiya Gaya Man Gharat Aur Jhoot Par Mabni Hai Aur Allah Ta?ala Ki Janib Jhoot Baandhna Sakht Haraam. Balke Munjir Ilal Kufr Hai. Aqlan Bhi Ye Baat Jihaalat Par Mabni Hai. Kya Ma?az-Allah Jis Tarah Hum Apne Ghar Me Rehte Hain. Allah Ta?ala Bhi Apne Ghar Me Rehta Hai? Yahan Allah Ke Ghar Se Muraad Allah Ka Zikr O Ibadat Karne Ka Khaas Muqaam Hai. Jahan Bandah Allah Ki Ibadat Kare Ab Sawal Me Zikr Jumle Par Gaur Karein Agar Us Se Muraad Yahi Hai Ke Allah Ta?ala Us Ghar Me Rehta Hai. To Aisa Iman Rakhna Kufr Hai. Qur?an E Paak Ki Aayat Ka Mafhoom Hai. Ke Beshak Sab Se Pehla Ghar Jo Logo Ki Ibadat Ke Liye Banaya Gaya Wo Makkah Me Hai.(Yaani Khana E Kaabah) Aur Mazeed Ye Ke Hazrat Ali رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ Karramallahu Ta?ala Waj?hahul Kareem Ki Wiladat Kaabah Me Hui Ya Nahi. Is Baare Me To Ulama O Muhaddiseen Ka Kaseer Ikhtelaaf Hai Aur Raajeh Yahi Ke Apki Wiladat Kaabah Me Na Hui. Magar Hazrat Hakeem Bin Hizaam RaziAllahu Ta?ala Anh Se Mutalliq To Kaseer Riwayat Hain Ke Apki Wiladat Khana E Kaabah Me Hui. Neez Kaabah Ke Andar Wiladat Hona Koi Mamooli Baat Nahi. Agar Aisa Hi Hota To Ye Baat Dhaki Chupi Na Rehti. Balke Mash?hoor Aur Apke Fazail Me Mazkoor Hoti. Halanke Motabar Muhaddiseen O Muwarrikheen Ne Hazrat E Ali رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ Karramallahu Ta?ala Waj?hahul Kareem Ke Fazaail Ka Kai Safahaat Par Mushtamil Zikr Farmaya. Magar Kahin Maulood E Kaabah Ka Zikr Na Kiya. n

—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button