Masail

Koun Si Baatein Hai Jiski Wajah Se Aurat Se Nikah Kiya Jata Hai?

Hadees : Bukhari wa muslim wa Abu dawood عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ wa Nasai wa Ibne maaza Abi Hurrairah Radiallau Ta’Ala Anhu se Raavi Rasoolullah ﷺ ? Ne Farmaya Aurat se Nikah 4 Batoo’n ki wajah se kiya jaata hai. ( Nikah me Unka Lihaaz hota hai ) 1. Maal 2. Hasab 3. Jamaal 4. Deen Aur tu deen wali ko tarzih de Hadees : Tirmizi wa Ibne maaza habban wa haakim Abu Hurrairah Radiallau Ta’Ala Anhu se Raavi ki Rasoolullah ﷺ ? Ne Farmaya 3 Shakhso ki Allah Ta’Ala Madad farmayega. 1. Allah ki Raah me Jihaad karnw waala. 2. Makaatib ke Ada karne ka irada Rakhta hai. 3. Paarsai ke irade se Nikah karne wala. Hadees : Abu Yaala jabir Radiallau Ta’Ala Anhu se Ravi ki Faramate hai jab tum me koyi ikah karta hai to shaitan kahta hai Haay Afsoos Ibne Adam عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ e mujhse Apna 2 Tihayi din bacha liya. Bahare sharee’at Hissa 07 Safa 06 n

—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button