Kuffr Kise Kehte Hai?
Jawab: Zaruriyat-e-Deen Me Se Kisi Ek Baat Ka Inkaar Karna Kufr Hai. Zururiyaat-e-Deen Bahut Hai Unme Se Kuch Yah Hai: Khudayeta?ala Ko Ek Aur Waajibul-Wajood Manna. Uski Zaat Wa Sifaat Me Kisi Ko Shareek Na Samajhna, Zulm Aur Jhoo? Wagaira Tamaam Aiboo Se Usko Paak Manna, Uske Malaika Aur Uski Tamaam Kitaabo Ko Manna, Quran Majeed Ki Har Aayat Ko Haak Samajhna. Huzoor Sayyed-e-Aalam (Sallallaaho Ta?aalaa Alaihi Vasallam) Aur Tamaam Ambiya-E-Kiraam Ki Nabuwat Ko Tasleem Karna. Un Sabko Azmat Wala Janna , Unhe Jaleel Aur Chho?aa Na Samajhna Unki Haar Baat Jo Katai Aur Yakeeni Taur Par Saabit Ho Use Haak Janna. Huzoor (Sallallaaho Ta?aalaa Alaihi Wasallam) Ko Khaatamun-Nabeeyeen Manna. Unke Baad Kisi Nabi ﷺ Ke Paida Hone Ko Jaayez Na Samajhna, Qiyaamat Hisaab Wa Kitaab Aur Jannat Wa Dozakh Ko Haak Manna, Namaz Wa Roza Aur Hajj Wa Zakat Ki Farz?iyat Ko Tasleem Karna. Zina, Choori Aur Sharaab Noshi Wagaira Haraam Kata?i Ki Huramat Ka Itiqaad Karna Aur Kafir Ko Kafir Janna Wagaira. Anware Shari?at Hindi P19
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—