Masail

Kya Bachcha band karne ke liye jo operation hota hai, wo Jaayez Hai.

Islam me Iski asl haqiqat kya hai. Jawab : Mustaqil taur par Wiladat a hone ke liye operation karana haraam hai. Jabke koi uzr e sharai a ho. Aur iska haraam hona kai wujuhaat ki wajah se hai. Isme Allah ki paida ki hui cheez ko badalna hai, aur ye Quran O Hadees ki Nass se ajaayez o haraam hai. Quran e Azeem me hai. ? 4-An-Nisa : 119 Yaani shaitan bola mai unko behkaunga to wo Allah Ta’ala ki paida karda cheezo ko badlenge. Bukhari o Muslim ki hadees hai. n”Allah ki La’nat un aurato par jo Allah ki paida ki hui cheez (jism ki qudrati banawat) ko badalne wali ho. Mazeed ye ke isme insan ki ek rag ya jism ke ek uzw (hisse) ko kaata jaata hai aur be-zarurat e sharai dosre ke samne satr e galeez khola jata hai aur usko dosra Shakhs Chhoota (touch) bhi hai. Aur ye sab baatein bhi haram hain. Al Haasil asbandi aur operation shariat e islamia me hargiz jaayez ahi. Lehaza isse afrat o ehteraz lazim hai. Wa-Allahu Ta’ala A’lam Mulakkhas az Fatawa Mustafawiyyah n

—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button