Masail

Kya Har Qism Ka Gunaah Tauba Se Maaf Ho Sakta Hai?

Jawab: Jo Gunaah Kisi Bande Ki Haqtalfi Se Ho. Maslan Kisi Ka Maal Gasab Kar Liya, Kisi Par Tuhmat Lagayi, Yaa Zulm Kiya, Toh In Gunaho Ki Maafi Ke Liye Zaroori Hai Ki Pehle Us Bande Ka Haq Wapas Kiya Jaye, Yaa Usse Maafi Mangi Jaaye. Fir Khuda e Ta’ala Se Tauba Kare, Toh Maaf Ho Sakta Hai. Aur Jis Gunaah Ka Talluq Kisi Bande Ki Haqtalfi Se Nahi Hai, Balki Sirf Khuda e Ta’ala Se Hai. Uski Do Qism Hai, Ek Woh Jo Sirf Tauba Se Maaf Ho Sakta Hai. Jaisa Sharab Naushi Ka Gunaah Aur Doosre Woh Jo Sirf Tauba Se Maaf Nahi Ho Sakta Hai. Jaise Namazon Ke Na Padhne Ka Gunaah, Iske Liye Zaroori Hai Ki Waqt Par Namazon Ke Ada Na Karne Ka Jo Gunaah Huaa Usse Tauba Kare Aur Namazon Ki Qaza Padhe. Agar Aakhiri Umr Mein Kuch Qaza Reh Jaaye, Toh Unke Fidyah Ki Wasiyat Kar Jaye. —

—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button