Masail

Kya hum unhe zakat ke fund se madad kare shakte Hain.

Ek bachha Jo engineering ki padhai Kar Raha Hain aur 2nd year mein Hain. Uski fees bharne ke liye Intezam a hone par Bank ki loan ki talash main hain. Pichhle saal bhi humne 20000 ki madad ki thi lautane ki ummid se Lekin woh 10000 hi lauta shake Hain. Unke ghar ki maahvar income Kareeb 30000 Hain aur ek makan Hain Jo loan pe Hain. Kisi Tarha ke bure ya ajayez kharche ahin Hain ahi koi galat sohbat, ya aadat Hain. Kya agar woh shahib e maal ahi ya utna cash, ya gold, ya silver aho ke woh zakat ke dayre main aaye. Kya hum unhe zakat ke fund se madad kare shakte Hain. Halaki woh zakat Lena ahin chahte. Nadamat ki vagah se. Ya fir unhe Bina kahe hum zakat de de. Jawab: Jo bhi kamaai hai usme se kuch bachta ahi. Yaani Kharch ho jata hai aur Itna maal bhi ahi jo Nisaab tak pohche, to wo zakat ka haqdar hai. Use zakat ki iyat se paise diye ja sakte hain. Agarche use Na bataye ke ye zakat hai. n

—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button