Kya india me musalman ek kafir se sood le sakta hai? Aur usko sood par rupaye de sakta hai?
Jawab: Sood lena dena haraam hai. Quran e majeed me irshad hua ke Allah ? e khareed o farokht ko halal farmaya aur sood ko haraam farmaya. Muslim sharif ki hadees hai ke Rasoolullah ﷺ ? e laanat farmayi sood khane wale aur uske muakkil aur uske likhne wale aur uske gawaaho par aur farmaya ke ye sab barabar hai. Lehaza sood Haraam hai. Musalman se liya jaye ya kafir se. Hindustan me ho ya arab me. Haan! agar a sood kaha jaaye, a sood ki iyat ho. Balke ek mubaah maal samajh kar leta ho ke kafir e harbi ka maal musalman ke liye mubaah hai jab tak Ahad shikni waada khilaafi Dhoka a ho, To isme harj ahi. Misal ke taur par kafir ko 100 rupaye diye aur apas ki raza mandi se ye thehra liya ke saal bhar ke baad 125 lunga, to jaayez hai. Wa-Allahu Ta’ala A’lam n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—