Masail
Kya Waalidain Ki Qabr Ko Choom Sakte Hain. Aur Ye Hukam Auliya E Kiraam Ki Mazaro Ke Liye Kya Rahega.
Jawab: Waalidain Laayeq Tazeem Hain. Zindagi Me Bhi Unke Hatho Ko Bosa De Aur Inteqal Ke Baad Unki Qabro Par Haazri De Aur Khoob Isaal E Sawab Karein. Ta?zeeman Unki Qabr Ko Choomna Bhi Jaayez Hai. Auliya E Kiraam Ke Mazaraat Par Hazri Dene Ka Tareeqa Ye Hai Ke Qabr Se Kam Az Kam 4 Hath Door Adab Ke Sath Khada Ho Kar Haazri De. n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—