Maidan E Karbala Me Hazrat E Sayyiduna Imam E Hussain ??? ???? ???
Aur Unke Rufqa/Sathi Par Jo Zulm o Sitam Kiye Gaye Unhe Padhkar Ya Sunkar Dil Ghamgheen Ho Jaye. Aankho’n Se Aansu Chhalak Pade, To Kiya Ye Bhi Mana Hai? Jawab: A’ala Hazrat Farmate Hai: Ji Nahi! Jaisa Ke Sarkar E Do Aalam Irshad Farmate Hai: Arre Sunte Nahi Ho Beshak ALLAH Ta’ala Na Aansu Se Rone Par Azaab Kare, Na Dil Ke Gham Par, Aur Zuban Ki Taraf Ishara Karke Farmaya: Haa Ispar Azaab Hai, Ya Reham Farmaye. Isko Imam Bukhari Wa Muslim Ne Hazrat Abdullah Ibne Umar رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ Se Riwayat Kiya Hai: ?1 ?174 Isi Tarah Fatawa Aalamgiri Me Bhi Hai Jameulmuzmirat Se (Buland Aawaz Se Rona) Aur Bin Karna (Islam Me) Jayez Nahi. Leqin Baghair Aawaz Ke Rona Aur Aansu Bahana Mamnu/Mana Nahi. ?1 ?167 A’ala Hazrat Irshad Farmate Hai: Kaun Sa Sunni Hoga Jise Waqia-E-Karbala Ka Gham Nahi, Ya Uski Yaad Se Dil Mahzun Aur Aankh Purnam Nahi. Haan, Musaaib Me Hum Ko Sabr Ka Hukm Farmaya Hai. Jaza Faza Ko Shariyat Mana Karti Hai Aur Jise Waqai Dil Me Gham Na Ho Usey Jhuta Izhar-E-Gham (Gham Ka Izhaar) Karna Riya/Dikhawa Hai Aur Qasdan (Yani Jaan Bujhkar) Gham Aawari Aur Gham Parwari Khilaaf-E-Raza Hai. Jise Iska Gham Na Ho Usey Be Gham Na Rehna Chahiye. Balke Uss Gham Na Hone Ka Gham Hona Chahiye, Ke Uski Mohabbat Naqis/Kam Uska Imaan Naqis Hai. n? ?24 487/488
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—