Mazarat e auliya Par aurto Ki Hazri Najayez Hai. But Agar Mazar Sharif Kisi Ladies (aurat) Ka Ho Tab Bhi Jana Najayez Hai?
Aurato ka Qabro par jaana ikhtelaafi Mas’la hai, Aksar Ahl-e-Ilm ise Haraam, Ya Makrooh e Tahreemi Kahte hain, ye ikhtelaaf yu paida hua ke ek zamaane me Qabro par jaana sab ko mana tha. Mardo ko bhi aur Aurato ko bhi. Baad me Huzoor pur Noor ? e is ki Ijazat ata farma di aur irshad farmaya: “Qabro ki ziyarat kiya karo, wo Akhirat ki yaad dilaati hain”. Jo hazrat Qabro par jaane ko jaayez rakhte hain, unka kehna hai ke ye ijazat jo Huzoor ﷺ e Ataa Farmaayi, Mardo aur Aurato sab ko shamil hai. Aur Jo Hazraat Najayez kehte hain unka istedlal ye hai ke Huzoor ﷺ e aisi aurato par Laanat farmayi hai jo qabro ki ziyarat ke liye jaayein, lehaza Qabro par jana unke liye Mamnol aur Moojib e Laanat hoga. Aur Ulama ye bhi farmate hain ke Auratein ek to Shara’i Masail se kam waqif hoti hain, dosre unme sabr, Hausla aur zabt kam hota hai. Isliye unke Haq me Gaalib andesha yahi hai ke ye wahan jaa kar Cheekh pukaar karengi, Be-Pardagi hogi, Ya Koi Bidat khadi karengi, Shayed isi Andeshe ki bina par Huzoor ﷺ e unke Qabro par jaane ko Moojib e Laanat farmaya. Huzoor Sadrush Shariah Irshad Farmate hain: Mazhab e Saheeh ye hai ke Hadees n” ” Mansookh hai ye Hukm muqaddam hai aur dosri Hadees, Jisme ziyarat e Qubor ki ijazat hai wo Muta’kkhar o Naasikh hai. Wo Hadees ye hai n” ” Is Hadees me agarche segha muzakkar hai, magar ye amr muqarrar aur saabit hai ke khitabaat e Shara’iyyah me agarche segha muzakkar hai Auratein bhi isme dakhil hain jab tak daleel e Shara’i se rijaal ki khususiyat saabit a aur Hadees n” ” Iski kashif hai. Lehaza ziyarat e quboor se Aurato ko murtakib e Fel’e Haraam ahi kaha jayega. Agarche hamare azdeek aslam tareeqa ye hai ke Aurato ko ziyarat e quboor se mana kiya jaaye. Kyuke unme ifraat o tafreet ka Maaddah gaalib hai aur surat e Mas’oola me hijab aur Adaab e e’zaaz ka pura lehaz kiya gaya hai. Lehaaza hukm me aur mazeed khiffat paida ho gayi. n(Fatawa Amjadia jild 1 safah 327) Huzoor Sayyedi Ala hazrat Imam Ahmad Raza Farmate hain: n”Meri Raaye is masle me khilaaf par hai, muddat hui mera fatwa Tohfa e Hanafiyya me Chhap chuka, mai us Rukhsat ko jo Bahr ur Raayeq me likhi maan kar Nazr ba Halaat e Nisaa Siwa e Hazri e Rauza e Anwar ke k Waajib ya Qareeb ba Waajib hai. Mazarat e Auliya ya Deegar Quboor ki ziyarat ko Aurato ka jaana Ba Itteba e Guniya Allama Muhaqqiq Ibraheem Halabi Har giz pasand ahi karta khususan is tufaan e be tameezi raqs o mazameer o surood me jo aaj kal johhaal e A’raas e Tayyeba me barpa kar rakha hai iski shirkat to mai awaam e rijaal ko bhi pasand ahi rakhta a ke wo jin ko Anjasha Radi-Allahu Ta’ala Anh ki Hadi Khwani ba ilhaan e Khush par Aurato ke saamne Mumaana’at farma kar unhe azuk sheeshiyaan farmaya gaya”. n(Fatawa Razaviyyah mutarjam jild 23 safah 111) Lehaza Mazkoora Baala Aqwaal e Foqaha Se Ye Saabit ho gaya ke Aurato ke Mazarat par Jaana fi zamaanina Najayez o Haraam hai aur iski Mumaana’at Mahram o Gair Mahram ki Buniyaad par ahi. Balke Unki Parda Nasheeni aur Aaj kal hone waale khoraafaat o bad tameezi ki buniyaad par hai. Wa-Allahu Ta’ala A’lam
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—