Mufti Akhtar Raza Khan Sahab Ka Maqam o Martaba Kiya Hai
Is Par Roshni Daal De Aur Zaid Ye Kehta Hai Ke Aaj Kal Ke Jadeed Masail Par Un Ki Nazar Nahi Aur Woh Juziat se Waqif Nahi. Toh Aaj Kal Ke Masail Ke Liye Jadeed Jawan Mufti Se Rehnumai Leni Chahiye. Kiya Zaid Ka Aisa Kehna Durust Hai ? Jawab: Huzoor Tajushshariah Hadrat Allama Mufti Akhtar Raza Khan Saheb Daamat Fuyoozuhum wo Abqari Shakhsiyat Hain Ke Jinhe Tareekh Dhoondti Hai Ke In Jaisa Dosra Koi Ek Hi Use Apne Daaman Me Mil Jaaye. Yaad Rakhiye Ke Koi Kisi Fann Ka Imam Hota Hai. To Koi kisi Ilm Ka Maahir. Lekin Tajushshariah Har Ilm, Har Fann Ke Aftab o Mahtab Hain. Bila Shubah Alahazrat Ka Faizaan e Ilmi Aap Ki Shakhsiyat Me Anwaar o Tajalliyat ki Surat me Chhalak Raha Hai. Aap Sirf Barakaat o Fuyoozat Ke Hi Nahi. Balke Uloom e Raza Ke Bhi Waaris o Ameen Hain. Bahot Hi Ta’jjub Ka Maqam Hai Ke Kuch Na Aqibat Andesh Ilmi Baisaakhiyo Par Chal Kar Apne Langde Loole Toote Phoote Naaqis Ilm Se Mahez Apni Zaati Anaaniyat Ki Taskeen Aur Bugz o Inaad o Hasad o Fasad Ki Aag Ke Sho’lo Ka Luqma Bante Hue. Is Zaat e Giraami Ko Taulne ki Koshish Karte Aur Apni Raaye Ka Bebaakana Izhaar Karte Hue Jis Ki Fahem o Zakawat, Maharat e Taamma, Fiqh me Tabahhur o Isaabat o Quwwat Ka Loha Duniya Ne Maana Aur Unki Ilmiyat Ka Sikka o Haibat Duniya e Arab o Ajam ke Ulama Par Musallam Hai. Aur Rahi Ye Ilzam Tarashi Ke Aap Ko Masail e Jadeeda Par Uboor Nahi. To Ise Mahez Deewane Ki Barr Ke Siwa Kuch Nahi kaha Jaa Sakta. Jis Ka Ilm Qur’an o Sunnat Se Mustafaad o Maakhuz Ho Wo Har Fann Ka Imam Hota Hai. Kyu Ke Qur’an Tamam Uloom Ka Sar Chashma Hai. n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—