Namaste Kehna Kaisa Or Is Ke Mana Nahi Jante Hai Kehna Kaisa Or Jante Hue Kehna Kaisa
Jawab: Aalahadrat Azeemul Barkat Sayyedna Imam Ahmad Raza Fazil e Barielwi Quddisa sirruhul Azeez se Daryaft kiya gaya ke jawab e salam o kuffar o hanaadik (Hinduism) kin alfaz mein diye jaayein aur khud bhi zarurat o be’zarurat unko salam karein, to kis taur se? Iske jawab mein Aap Tahreer farmate hain “kafir ko be’zarurat ibteda ba salam aa jaayez hai.” Aur hindustan mein wo tareeq e tahiyyat jaari hain ke ba’zarurat bhi unhe salam e shara’i karne ki hajat ahi. Maslan yahi kaafi ke Lala saab, babu saab, munshi saab, ya be sar jhukaaye sar par hath rakh lena wagaira zaalik. Kaafir Agar be lafz e Salam salam karein, to aise hi alfaz e raayeja jawab mein bas hain aur ba lafz e salam ibteda karein, to ulama farmaate hain jawab me wa alaik kahe. Magar ye lafz yahan makhsoos ba ahle islam thehra hua hai aur wo kafir bhi ise jawab e salam a samjhega. Balke apne sath istehza khayal karega, to jis lafz se munaasbat jaane jawab de le, agarche salam ke jawab mein salam hi keh kar. n(Fatawa Razviya) Lehaza ba’darja e majburi amaste, ya amaskar bol sakta hai. Lekin Yu hi bila zarurat kehna aa jaayez hai. Bachna behtar hai Aur jabke iska Maana ye ho ke Mai Sar jhukaata hu Tumhare liye, to aisa Kehne se mana kiya jaayega. Jab usne sar jhukaaya ahi sirf kaha hai aur awam iska matlab bhi ahi jaanti, to sakht hukm a hoga. Wa-Allahu Ta’ala A’lam n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—