Masail
Namaz Me Kisi Wajib Ko Qasdan (Jan Bujhkar) Chhodh Diya
Toh Kya Sajda e Sahu Se Talafi Hogi, Ya Nahi ? Jawab: Namaz Me Kisi Wajib Ko Qasdan (Jan Bujhkar) Chhodh Diya Toh Sajda e Sahu Se Us Nuqsaan Ki Talafi Nahi Hogi. Balki Namaz Ko Dobara Padhna Wajib Hoga. Isi Tarah Agar Bhoolkar Kisi Wajib Ko Chhodh Diya Aur Sajda e Sahu Na Kiya. Jab Bhi Namaz Ka Dobara Padhna Wajib Hai.
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—