Masail
NAMAZI KAB KURSI PAR NAMAZ PADH SAKTA HAI?
ANSWER Khade Ho Kar Namaz Padhne Par Qudrat Ho To Baith Kar Namaz Nahi Ho Sakti. Agar Thodi Der Bhi Khade Ho Sakte Ho To Utni Der Khade Ho Kar Jab Bilkul Taaqat Na Rahe Khade Rahne Ki To Baith Jaye Aur Ruku Sajde Ke Saath Namaz Ada Kare. Agar Ruku O Sajde Kar Sakte Hai To Kursi Pe Namaz Na Hogi. Is Liye Ke Kursi Par Baith Kar Ruku O Sajda Nahi Hota. Balkeh Ruku O Sajde Ke Liye Isharah Hota Hai. Jab Ruku O Sajde Pe Qudrat Ho To Isharah Se Namaz Nahi Hogi. Haan Agar Zameen Par Baith Kar Bhi Ruku O Sajde Karne Ki Taaqat Na Ho To Kursi Par Baith Kar Namaz Ho Jaayegi. n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—