Masail
Nikah Ke Baad Agar Biwi Kisi Gair Mard Se Talluk Qayam Karne Ki Koshish Kare Aur Agar Shauhar Ko Is Baat Ka Pakka Suboot Mil Gaya Ho Toh Shauhar Ke Liye Kya Hukm Hai.
ANSWER Agar Waq?ee Biwi Ke Najayez Talluqaat Gair Mard Se Hain To Woh Sakht Gunahgaar Hai. Us Par Farz Hai Ke Apne Is Bad Kaam Se Taubah Kare Aur Shauhar Biwi Se Iqraar Le Ke Aise Qabeeh O Haraam Harkat Se Baaz Rahe. Aur Biwi Ko Waqtan Fawaqtan Tambeeh Karta Rahe Aur Uski Sakht Nigraani Kare Ke Ab Aaindah Aisa Qadam Na Uthaaye. n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—