Masail

Niyaz Me Haram Paise Ka Milna?

1) Tabarruk Par Niyaz Di Jaati Hai Kisi Bhi Tehwar Par, Toh Ab Usmein Sabhi Logo Ka Paisa Hota Hai ? Halal, Haram Toh Kya Use Khaa Sakte Hein? 2) Agar Hamein Pata Nahi Ki Niyaz Mein Paisa Halal Hai, Ya Haram. Toh Kya Kare ? 3) Maine Bhi Langar Mein Paisa Diya, Toh Mera Toh Halal tha. Lekin Main Confirm Hoon Ki Ismein Haram Ka, Satte Ka Maal Bhi Hai. Toh Usey Khaaye, Ya Nahi? Aur Aaj Kal Lagbhag Har Jagah Aisa Hi Ho Raha Hai. Hazrat Iska Jawab Inayat Farmaye Taake Hum Gunah Se Mehfooz Rahein. Jawab: Agar Waaqai Maloom Hai Ke Ye Paisa Jo Liya Ja Raha Hai, Wo Haram Kamaai Ka Hi Hai. To Use Na Liya Jaaye. Phir Bhi Agar Aisi Koi Raqm Us Niyaz Me Mil Gayi, To Uske Khane Me Harj Nahi. n

—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button