Masail

Qurbani ka gosht taqseem ka bayan

Qurbani ka gosht ka bayan? MASLAH:-Qurbani ka gosht khud bhi kha sakta hai aur dosre shakhs gani ya faqeer ko bhi de sakta hai khila sakta hai. Balke usme se kuch kha lena Qurbani karne wale ke liye mustahab hai. n(Bahar e shari’at) MASLAH:- Behtar ye hai keh gosht ke 3 hisse kare 1 hissa fuqra ke liye aur 1 hissa dost o ahbaab ke liye aur 1 hissa apne ghar walo ke liye. n(Bahar e shari’at) MASLAH:- 1/3 ek tihaai se kam sadqa a kare Aur kul ko sadqa kar dena bhi jaayez hai. n(Bahar e shari’at) MASLAH:- Kul ghar me rakh le ye bhi jaayez hai 3 din se zaaid apne ghar walo ke khane ke liye rakh lena bhi jaayez hai. n(Bahar e shari’at) MASLAH:- Agar us shakhs ke ahl o ayaal bahut hon aur saahib e us’at ahi hai to behtar ye hai ke saara gosht apne baal bachcho ke liye hi rakh chhore. n(Bahar e shari’at) MASLAH:- Qurbani ka gosht kafir ko a de keh yahan kuffar harbi hain n(Bahar e shari’at) Yani yahan ke kaafiro ko gosht dena jaayez ahi. n(Fatawa razviyyah jild 8 safah 467) MASLAH:- Ojhdi, aant, wagairah khane ki chiz ahin use dafan karde aur agar koi kafir le jaaye ya kafir ko dedi jaaye to harj ahin n(Maakhooz az Fatawa Razviyah) MASLAH:- Qurbani agar mannat ki hai to uska gosht a khud kha sakta hai aur a agniya ko khila sakta hai. Balke usko sadqa kar dena wajib hai. Woh mannat maanne wala faqeer ho ya gani dono ka ek hi hukm hai ke khud ahi kha sakta a gani ko khila sakta hai. n(Bahar e shari’at) MASLAH:- Maiyyit ki taraf se Qurbani ki to uske gosht ka bhi wahi hukm hai ke khud khaye dost o ahbaab ko de faqeero ko de ye zaroori ahi ke saara gosht faqeero hi ko de kyuke gosht uski milkiyat hai ye sab kuchh kar sakta hai. n(Bahar e shari’at) MASLAH:- Agar maiyyit e kah diya hai ke meri taraf se Qurbani kar dena to isse a khaye balkeh kul gosht sadqa karde. n(Bahar e shari’at) MASLAH:- Qurbani ke gosht ko apni zaat ke liye bechna jaayez ahi aur agar bech diya to uski qeemat sadqa kar dena wajib hai. MASLAH:- Qurbani ka gosht devbandi wahabi gair muqallid wagiarah ko dena jaayez ahi. MASLAH:- Baaz log kafir qassab se gosht booti karwate hain to isme ye ihteyaat bahut zaroori hai ke kisi waqt bhi gosht musalman ki azro se gaaib a ho. MASLAH:- Agar gosht musalman ki azro se gaaib ho kar kafir ke qabze mein ho gaya to us gosht ka khana jaayez ahi. MASLAH:- Devbandi wahabi wagairah badmazhab jinki badmazhabi hadd e kufr ko pahunch gayi ho usne Jaanwar zabah kiya to Qurbani a hui aur gosht bhi haraam ho gaya. MASLAH:- Shirkat me gaaye ki Qurbani hui to zaroor hai ke gosht wazan karke taqseem kiya jaaye, andazah se taqseem a ho kyuke ho sakta hai ke, kisi ko ziyadah ya kam mile aur ye ajayez hai, yahan ye khayal a kiya jaaye ke kam o besh hoga to har ek isko dosre ke liye jaayez kar dega kah dega ke agar kisi ko zaaid pahunch gaya to mu’aaf kiya ke yahan adam عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ e jawaz haqq e shara hai aur unko iske mu’aaf karne ka haq ahin. n(Bahar e shari’at) MASLAH:- Yahan ye ho sakta hai ke saaton shareek milkar kisi aise shakhs ko jo is Jaanwar mein shareek ahin hai kul gosht ka maalik bana kar qabza dede phir woh shakhs un saaton ko apni taraf se gosht jis qadar chahe dede to is soorat me kam ya ziyadah hone me harj ahin. Ek soorat ye bhi hai ke kaleji paaye wagairah bhi gosht mein shaamil karde aur andazah se shuraka mein taqseem karde. Durr e mukhtaar mein hai n( ? 5 ? 223) BOOK NAME – FAZAAIL O MASAAIL E EIDUL AZHA O QURBAANI n

—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button