Masail

QURBANI KA WAQT KITNA HAI?

QURBANI KA WAQT KITNA HAI? HADEES Hazrat E Barraa se riwayat hai ke Nabi ﷺ Kareem e farmaya sab se pahle jo kaam aaj ham karenge woh ye hai ke amaz padhein, phir iske baad Qurbani karenge, jisne aisa kiya usne hamari sunnat (tareeqa) ko paa liya aur jisne pahle zabah kiya, woh gosht hai jo usne pahle se apne ghar walon ke liye tayyaar kar liya Qurbani se use kuchh ta’alluq ahin. Abu Burdah khade huye aur ye pahle hi zabah kar chuke the (is khayal se ke pados ke log gareeb the unhone chaha ke unko gosht mil jaaye ) aur arz ki ya Rasoolallah mere paas bakri ka 6 maah ka ek bachcha hai Faramaya tum use zabah karlo aur tumhare siwa kisi ke liye 6 maaha bachcha kifayat ahi karega. n(Bukhari) MASLA:- Qurbani ka waqt daswen zihijjah ke tulu e subh e saadiq se baarahwe ke gurub e aaftaab tak hai, yani 3 din 2 raatein. n(Bahar e shari’at) MASLA:- Daswen ke baad ki dono raatein ayyaam e ahar mein daakhil hain unme Qurbani ho sakti hai. Magar raat mein Qurbani karna makrooh hai. n(Bahar e shari’at) MASLA:- Pahla din yani daswen tareekh sab mein afzal hai. Phir giyarahwe aur pichhla din yani baarahwe sab se kam darjah hai. n(Bahar e shari’at) MASLA:- Ayyaam e ahar mein Qurbani karna itni qeemat ke sadqa karne se afzal hai. n(Bahar e shari’at) MASLA:- Wujoob ki soorat mein bagair Qurbani kiye uhda baraa ahin ho sakta. n(Bahar e shari’at) MASLA:- Shahar mein Qurbani ki jaaye to sha’rt ye hai ke amaz ho chuke. Lihaza amaz e eid se pahle shahar mein Qurbani ahin ho sakhti n(Bahar e shari’at) MASLA:- Dihaat mein chunkeh amaz e eid ahin hai yahan tulu e fajr ke baad se hi Qurbani ho sakhti hai. n(Bahar e shari’at) MASLA:- Dihaat mein behtar ye hai ke baad e tulu e aftaab Qurbani ki jaaye. n(Bahar e shari’at) MASLA:- Shahar mein behtar ye hai ke eid ka khutbah ho jaane ke baad Qurbani ki jaaye. n(Bahar e shari’at) MASLA:- Namaz ho chuki hai aur abhi khutbah ahin hua hai is soorat mein Qurbani ho jaayegi. Magar aisa karna makrooh hai n(Bahar e shari’at) MASLA:- Ye jo shahar aur dihaat ka farq batataya gaya hai ye maqam e Qurbani ke lihaz se hai. Qurbaani karne wale ke ehtebaar se ahin yani dihaat mein Qurbani hoto woh waqt hai. Agarche Qurbani karne wala shahar mein hai. n(Bahar e shari’at) MASLA:- Shahar mein hoto amaz ke ba’ad ho. Agarche jiski taraf se Qurbani hai woh dihaat mein ho. n(Bahar e shari’at) MASLA:- Shahar mein aadmi agar ye chahta hai ke subah hi amaz se pahle Qurbani ho jaye to Jaanwar dihaat mein bhej de n(Bahar e shari’at) MASLA:- Agar shahar mein muta’addad jagah eid ki aamaz hoti ho to pahli jagah amaz ho jaane ke ba’ad Qurbani jaayez hai. n(Bahar e shari’at) MASLA:- Imam abhi amaz hi mein hai aur kisi e Jaanwar zabah kar liya. Agarcheh imam qa’da mein ho aur baqadr e tashahhud baith chuka ho magar abhi salam a phera ho to Qurbani ahin hui n(Bahar e shari’at) MASLA:- Agar imam e ek taraf salam pher liya hai dosri taraf baaqi tha ke usne zabah kar diya Qurbani ho gayi n(Bahar e shari’at) MASLA:- Ayyaam e ahar guzar gaye aur jis par Qurbani wajib thi usne ahin ki hai to Qurbani faut ho gayi ab ahi ho sakti. Agar usne Qurbani ka Jaanwar mu’tayyan kar rakha hai maslan mu’tayyan Jaanwar ke Qurbani ki mannat maan li hai woh shakhs gani ho ya faqeer bahar soorat usi mu’tayyan Jaanwar ko zindah sadqa kare aur agar zabah kar daala to saara gosht sadqa kare. Usme se kuch a khaye aur agar kuch kha liya hai to jitna khaya hai uski qeemat sadqa kare aur agar zabah kiye huye Jaanwar ki qeemat zindah Jaanwar se kuchh kam hai jitni kami hai use bhi sadqa kare. n(Bahar e shari’at) MASLA:- Faqeer e Qurbani ki iyyat se Jaanwar khareeda aur Qurbani ke din ikal gaye chunke us par bhi usi mu’tayyan Jaanwar ki Qurbani wajib hai. Lihaza us Jaanwar ko zindah sadqa karde. n(Bahar e shari’at) MASLA:- Ye zaroori ahin ke daswen hi ko Qurbani kar daale Uske liye gunjaish hai keh poore waqt mein jab chahe kare. n(Bahar e shari’at) BOOK NAME – FAZAAIL O MASAIL E EIDUL AZHA O QURBANI n

—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button