Masail

QURBANI KE JANWAR ME AIB DEKHNA

QURBANI KE JANWAR KA BAYAN? HADEES :- Ummul Momineen Hazrat e Aaisha Siddiqa se riwayat hai.Ke RasoolAllah e hukm farmaya, keh seengh wala mendha laaya jaaye. Jo siyahi men chalta ho aur siyahi men baithta ho aur siyahi men azar karta ho. Yani uske paaun siyaah hon aur pet siyaah hon aur aankhen siyaah hon oh Qurbani ke liye haazir kiya gaya. Huzoor e farmaya Aaisha chhuri laao phir farmaya use paththar par tez kar lo phir huzur e chhuri li aur mendhe ko litaaya aur use zabah kiya phir farmaya. Ilahi to isko Muhammad ﷺ ki taraf se aur unki aal ki aur ummat ki taraf se qubool farma n(Muslim Shareef) HADEES:- Hazrat e Abdullah Bin Mas’ood se riwayat hai keh Huzoor e farmaya Qurbani mein gaaye 7 ki taraf se aur oont 7 ki taraf se hai n(Tibrani Shareef) HADEES:- Hazrat Majaashe’ Bin Mas’ood se riwayat hai keh Huzoor e farmaya bhed ka jaza’a ( 6 mahine ka bachcha ) saal bhar wali bakri ke qaaim maqam hai. n(Abu daaud o Nasai) HADEES:- Hazrat e Ali رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ se riwayat hai keh Huzoor e farmaya 4 qism ke Jaanwar Qurbani ke liye durust ahin, kaana jiska kaanapan zaahir hai, aur beemaar jiski beemari zaahir ho, langda jiska lang zaahir hai, aur aisa laagar jiski haddiyion mein magz a ho n(Imam Ahmad) HADEES:- Hazrat e Ali رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ se riwayat hai ke RasoolAllah e kaan kate huye seengh toote huye ki Qurbani se mana farmaya n(Ibn e maajah / Imam Ahmad) HADEES :- Hazrat e Ali رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ se riwayat hai ke Rasool ﷺ e Akram e farmaya ke ham Jaanwaro ke kaan aur aankhen gaur se dekh len aur uski Qurbani a karein jiske kaan ka agla hissa kata ho aur a uski jis ke kaan ka pichhla hissa kata ho a uski jiska kaan phata ho ya kaan men sooraakh ho n(Tirmizi / Abu daaud / Nasai) MASAIL E FIQHIYYAH? MASLAH:- Qurbani ke Jaanwar 3 qism ke hain n(1) Oont n(2) Gaaye n(3) Bakri Har qism me uski jitni au’aen hain sab daakhil hain arr o maadah khassi aur gair e khassi sab ka ek hukm hai. Yani sab ki Qurbani ho sakhti hai n(Bahar e shari’at) MASLAH:- Bhains gaaye me shumaar hai uski bhi Qurbani ho sakhti hai – bhed aur dumbah bakri me daakhil hain unki bhi Qurbani ho sakhti hai n(Bahar e shari’at) MASLAH:- Wahshi (jangli) Jaanwar jaise eel gaaye aur hiran inki Qurbani ahin ho sakhti n(Bahar e shari’at) MASLAH:- Murgi ki Qurbani jaayez ahin. n(Fatawa Razviya Jild 8 Safah 530) BOOK NAME – FAZAAIL O MASAAIL E EIDUL AZHA O QURBAANI n

—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button