Masail

Qurbani Me Dua Ke Waqt Naam Lene Ka Tarika Bataein.

ANSWER Qurbani Ka Tareeqa Ye Hai Ke Jaanwar Un Sharaait Ke Muwafiq Ho Jo Mazkoor Hui. Yani Jo Uski Umar رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ Baatayi Gayi Usse Kam Naho Aur Un Uyoob Se Paak Ho Jinki Wajah Se Qurbani Najayez Hoti Hai. Aur Bihtar Ye Ke Umdah O Farbah Ho Qurbani Se Pahle Use Chaarah Paani De De. Yani Bhooka Pyasa Zabah Na Kare Aur Ek Ke Saamne Dosre Ko Zabah Na Kare Aur Pahle Se Chhuri Tez Kar Le. Aisa Na Ho Ke Jaanwar Girane Ke Ba?ad Uske Samne Chhuri Tez Ki Jaye. Jaanwar Ko Baaye Pahlu Par Is Tarah Litaaye Ke Qiblah Ko Uska Muh Ho. Aur Apna Dahina Paau Uske Pahlu Par Rakh Kar Tez Chhuri Se Jald Zabah Kar Diya Jaye Aur Zabah Se Pahle Ye Dua Padhi Jaye. Ise Padh Kar Zabah Kar De Qurbani Apni Taraf Se Ho To Zabah Ke Ba?ad Ye Dua Padhe. Is Tarah Zabah Kare Ke Chaaro Rage Cut Jaye Ya Kam Se Kam 3 Rage Cut Jaye Isse Ziyadah Na Kaate Ke Chhuri Gardan Ke Muhra Tak Pahunch Jaye Ke Ye Bhi Wajah Ki Takleef Hai. Phir Jab Tak Jaanwar Thanda Na Ho Jaye. Yani Jab Tak Uski Rooh Bilkul Na Nikkal Jaye Uske Paau Wagairah Na Kaate Na Khaal Utaare Aur Agar Dosre Ki Taraf Se Zabah Karna Hai To Ki Jagah Ke Ba?ad Uska Name Le Aur Agar Woh Mushtarak Jaanwar Hai Jaise Gaaye, Oont To Wazan Se Gosht Taqseem Kiya Jaye Mahaz Takhmeena (Andazah) Se Taqseem Na Kare. n(Bahar E Shari?at) Aur Agar Dua Nahi Padhi Gayi Jab Bhi Qurbani Ho Gayi. n

—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button