Masail

Rajab Ke Roze Ki Fazilat

Hazrat e Sayyiduna Allama Saffori alaih rehma Farmate Hai. Rajab ul Murajjab Beech Boneka, Shabaan ul Muazzam Aabpashi Ka Aur Ramzan ul Mubarak Fasl Kaatne Ka Mahina Hai! Lihaza Jo Rajab ul Murajjab Mein Ibadat Ka Beech Nahi Bota Aur Shaaban ul Muazzam Mein Aansuo Se Sairab Nahi Karta, Woh Ramzan ul Mubarak Mein Fasal e Rehmat Kyun Kar Kaat Sakega? Mazeed Farmate Hai. Rajab ul Murajjab Jism Ko, Shabaan ul Muazzam Dil Ko Aur Ramzan ul Mubarak Rooh Ko Paak Karta Hai. Imam Abdul Rehman Bin Abdul Salaam [894 H] : Nuzhat ul Majalis: Jild 01, Pg. 155 Jisne Rajab Ka 1 Roza Rakha, Toh Woh 1 Saal Ke Rozo Ki Tarah Hoga. Jisne 7 Roze Rakhe, Uspar Jahannam Ke 7 Darwaze Band Kar Diye Jayenge. Jisne 8 Roze Rakhe, Uske Liye Jannat Ke 8 Darwaze Khol Diye Jayenge. Jisne 10 Roze Rakhe, Woh Allah Azzawajal Se Jo Kuch Mangega Allah Azzawajal Usey Aata Farmayega. Aur Jisne 15 Roze Rakhe, Toh Aasman Se 1 Munadi Nida Karta Hai Ki Tere Pichle Gunah Bhakhs Diye Gaye, Pas Tu Aaj Saare Nav Amal Shuru Kar Ki Teri Buraiyan Nekiyon Se Badal Di Gayi. Aur Jo Zyada Kare, Toh Allah Azzawajal Usey Zyada De. Imam Bayhaqi [ 384 – 458 H ] – Shoab ul Imaan: Jild 03, Pg. 368, Hadees o. 3801 Ek Shakhs baargaahe Risaalat mein haazir huwa aur arz kiya “Ya Rasoolallah (sallallaho alaihi wasallam), main kamzor hun aur Rajab ke poore mahine ke roze ahi rakh sakta hun. Main kya karun? Sarkaar e kainaat Sallallahu Alaihi Wasallam e irshad farmaya, n”Rajab ki pehli, pandharwin (15th) aur aakhri tarikh me roza rakh le poore mahine ke roze ka sawab milega”. Aur koi wo bhi a kar sake to? Irshad huwa n”Rozana roti sadqa kare, sawaab paa lega” SubhanAllah!! n(Nuzhatul Majaalis)

—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button