Roza kin cheezo se toot jata hai?
Masla ? Jaan-bujhkar Khaane-Peene, HumBistari karne se Roza Toot jaata hai. Masla ? Huqqa, Sigaar, Cigerate, Charat (Charas) wagairah Peene se Roza toot jaata hai. Masla ? Paan, ya Tumbaku khaane se Roza toot jaata hai. Masla ? Shakar (Sugar) wagairah aisi Cheezein jo munh Mein rakhne se ghul jaati hai. Munh Mein rakhi aur Thook igal gaya, Roza toot gaya. Masla ? Daanton ke darmiyaan koi Cheez Chane ke barabar, ya zyaada thi use kha gaya, ya kam hi thi magar Munh se ikaal kar phir khali to dono Surton Mein Roza toot gaya. Masla? Daanton se khoon ikalkar halaq se eeche utra aur uska mazah halaq Mein Meinhsoos hua. Roza toot gaya. Masla ? Roze Mein Daant Ukharwaya aur khoon ikalkar Halaq se eeche utra Roza toot gaya. Masla? Naak Se Dawa Chadhayi Ya Kaan Mein Tel Dala Ya Chala Gaya Roza Toot Gaya Masla ? Kaan Mein Jaanbujh kar paani daalne se Roza toot jaata hai.(Fatawa e Razwiya). Masla ? Kulli kar raha tha Be-ikhtiyaar paani Halaq se Utar gaya. Roza toot gaya. Masla ? Naak Mein Paani Chadhaya aur Dimaag ko chadh gaya Roza toot gaya. Masla ? Aansu ya Paseena Munh Mein chala gaya aur igal gaya to agar do Qatre se zyaada hai aur uski Namkeeni poore Munh Mein Meinhoos huyi, Roza toot gaya. Masla ? Jaanbujh kar Munh bhar Qai (Ulti) ki to Roza toot gaya. Masla ? Be-Ikhtiyaar Bhar Munh Qai (Ulti) ho gayi phir use Nigal gaya Roza Toot Gaya Masla ? Ye Gumaan tha ke Subah Nahin hui aur khaya ya piya baad ko Maloom hua ke Subah ho chuki thi Roza a hua. Masla ? Ye Gumaan tha ke Aaftaab Doob gaya Aur Iftaar kar liya Baad ko Maloom hua ke a Dooba tha Roza a hua. Masla ? Jiska Roza toot gaya. Maslan Galti se Paani Wagairah koi Cheez Halaq Mein ja rahi to jo kuch Din Baaki re gaya use Roze ki tarah Guzaarna Wajib hai. Masla ? Naswaar Naak Mein lagaakar Upar Kheechne se Roza toot jaata hai. Masla ? Lobaan, Agarbatti wagairah ke Dhue ko Jaanbujhkar Naak Ya Munh se Kheecha, Roza toot gaya. Masla ? Manjan, Ya Toothpaste wagairah kar raha tha aur uske kuch Ajza Halaq se eeche utar gaye Roza toot gaya. Masla ? Inhaler (jo ke Dama ke Mariz Aksar Istamal karte hain) Roze ki haalat Mein Istamaal kiya Roza toot gaya. Isi Tarah Sardi Ke Inhaler Se Bhi Roza toot Jayega. Masla ? Cheenk Aane ke liye Naak Mein Sufoof (Powder) Rakhkar upar ko Saans Kheechne se Roza toot Jayega. n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—