Ruku Aur Sajde me 3 Baar Se Jyaada Tasbeeh Kahna Kaisa Hai?
Mas’Ala: 3 Baar Tasbih Adna Darja hai ki is se kam sunnat Ada a Hogi. Aur 3 Baar se jyaada kahe to afzal hai. Magar khatm taak ( be-jood ) Adad par ho, haan Agar Yah imam hai Aur Muqtadi Ghabraate ho to jyaada a kare. n(Fethul qadir 1- 259) Hilya me Abdullah ibne mubarak Wagairah se hai ki imam ke liye Tasbihaat 5 Baar Kahna Mustahab Hai. Hadees me hai ki Farmate hai Huzoor ﷺ jab koyi ruku kare Aur 3 Baar “Subhan Rabbiyal’Azim” kahe to uska Ruku pura ho gaya. Aur yah Adna darja hai. Aur jab sajda kare Aur 3 Baar “Subhan Rabbiyal’Ala” kahe to Sajda pura ho gaya. Yah Adna darja hai. Isko Abu Dawood عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ wa Tirmizi wa Ibne maaja e Abdulla ibne masood Se Riwayat kiya. Bahar-e-sahari’At Hissa Teesra safa 70 n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—