Masail

Salaam aur chhink ka jawab naa dena kaisa?

Khali ishaare se jawab dena kaafi hoga kya ? Jawab: Salam aur chheenk dono ka jawab dena WAJIB hai aur dono ka jawab inti awaz se diya jayega ki samne wala sun le. Warna gunahgar hoga aur jawab dene me bhi der ki to bhi gunahgar aur ishare se jawab kaafi ahi, awaz ke sath hi dena wajib hai. Bahar e Shariat Jild: 3 Safa: 460 Salam ka jawab foran dena wajib hai. Bila wajah takheer ki to gunahgar hoga or ye gunah jawab dene se dafa aa hoga, balki tauba karni hogi. Bahar e Shariat Jild: 3 Safa: 464 Salam itni awaz se kahe ki jisko salam kiya gaya hai wo sun le, aur agar itni awaz aa ho to jawab dena wajib ahi. Ungali ya hatheli se salam karna mana hai. Hadis me farmaya: ?ungali se salam karna yahoodiyo ka tariqa hai aur hatheli se salam karna asara ka?. Baaz log salam ke jawab me hath, ya sar se ishara kar dete hai. Yun jawab ahi hua, unko munh se jawab dena wajib hai. Kisi e hath ke ishare se salam kiya to ye salam ahi, aa iska jawab dena wajib. Magar jab ishare ke sath munh se bhi salam kaha to jawab diya jayega. Bahar e Shariat Jild: 3 Safa: 476 Chheenk ka jawab dena wajib hai. Jabki chhenkne wala ? ? ? (Alhumdullillah) kahe, aur iska jawab bhi foran dena aur is tarah dena ki wo sun le wajib hai. Jis tarah salam ke jawab me hai yaha bhi hai. Masail-e-Shariyat, Jild:1, Page:147

—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button