Shuhada-E-Karbala Ke Rauzo’n Ki Tasveere Aur Naqshe Gharo’n Aur Dukano Me Awizan (Latka) Kar Rakh Sakte Hai Ya Nahi?
Jawab: A’ala Hazrat Farmate Hai: Shaikh Abdul Mustafa ﷺ Azmi Farmate Hai. Hazrat E Imam E Hussain Aur Shuhada-E-Karbala Ke Muqaddas Rauzo’n Ki Tasveer, Naqsha Bana Kar Rakhna Aur Unko Dekhna Ye To Jaayez Hai. Kyunki Ye Ek Gair Jaandaar Chiz Ki Tasveer, Ya Naqsha Hai. Lehaza Jis Tarah Ka’aba, Baitul Muqaddas, Nalain Sharifain Waghaira Ki Tasveere Aur Unke Naqshe Bana Kar Rakhne Ko Shariyat Ne Jayez Thahraya Hai. Usi Tarah Shuhada-E-Karbala Ke Rauzo’n Ki Tasveere Aur Naqshe Bhi Yaqinan Jayez Hi Rahenge. Leqin Har Saal Sekdo’n, Hazaro Rupey Ke Kharch Se Rauza, Karbala Ka Naqsha Bana Kar Usko Pani Me Dubo Dena. Ya Zameen Me Dafan Kar Dena, Ya Jangalo’n Me Phenk Dena. Ye Yaqinan Haram o Najayez Hai. Kyunki Ye Apne Maal Ko Barbaad Karna Hai Aur Musalman Janta Hai Ke Maal Ko Zaaya Aur Barbaad Karna Haraam o Na Jaayez Hai. ?155,156 Hakimmul Ummat Taajdaare Gujarat Hazrat Mufti Ahmad Yaar khan Naimi Irshad Farmate Hai: Agar Imam E Husain Ke Mazaar Shareef Ka Saheeh Naqsha Tayyar Kiya Jaye Jis Ki Ziyarat Ki Jaye Usey Dafan Na Kiya Jaye. Balke Mahfooz Rakha Jaye Bila Shubah Jayez Hai. ?192
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—