Masail

Sunnat E Muakkadah Bila Ujr Ek Baar Tark kare Aur Jo Tark ki Aadad kare Uske Liye Kya Hukm hai?

Sunnat e Muakkadah Bila Ujr Ek Baar Tark kare Aur Jo Tark ki Aadad kare Uske Liye Kya Hukm hai? A – Wo Mustahkke Malaamat hai. B – Faseeq Hai. C – Marddushsh shahadat Hai. (Jiski Gawahi Kabul a ho) D – Mustahakke Naar (Dozakh me Jaane ka Haq daar) Hai. E – Gumrah Hai. Sunnat e Baaz Muakkadah Hai Ki Shari’At me us par Taakid Aai Bila Ujr Ek baar Bhi Tark kare To Mustahkke Malaamat Hai Aur Tark ki Aadat Kare to Faseeq, Marddushsh shahadat (Jiski Gawahi Kabul a ho), Mustahkke Naar (Dozakh me jaane ka hakdaar hai) Aur Baaz Aimma e Farmaya ki wah gumrah Thahraya jayega Aur wah Gunahgaar hai Agarche uska wajib ke Tark se kam hai. Talwih me hai ki uska tark karib haraam hai. Uska taark (Chorne wala) Mustahak (Hakdaar) Hai ki MAAZ’ALLAH. Shafat se Mahroom ho jaaye ki Huzoor E Aqdas ? e Farmaya: Jo meri Sunnat ko Tark karega usse meri Shafa’At a milegi Sunnat e Muakkadah ko Sunane huda bhi kahte hai. Bahare sharee’at Hissa 04 Safa 11,12 n

—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button