Masail

Tahiyatul wazu ki fazilat

Tahiyatul wazu: Wadu ke baad Aaja E Khushq hone se pahle 2 Rakat Namaz padhna Mustahab hai. Sahi Muslim me hai Nabi ﷺ ? e Farmaya jo Shakhs wazu kare Aur achha wazu kare Aur zaahir wa baatin ke saath Mutawajje ho kar 2 Rakat padhe uske liye jannat wajib ho jaati hai. Mas’Ala: Ghusl ke Baad bhi 2 Rakat Namaz Mustahab hai. Wazu ke baad Farz wagairah padhe to Tahiyatul wadu ki jagah ho jaayegi. n(Raddul Muhtaar) Namaz E Isharaq Tirmizi Anas Radiallau Ta’Ala Anhu Se Raavi ki Farmate hai. Rasoolullah ﷺ ? jo Fajr ki Namaz Jamat se padh kar Zikr e khuda karta raha, yahaan tak ki Aftaab baland ho gaya phir 2 Rakat padhe, to use pure hajj wa Umrah ka Sawab milega. Bahar-e-sahari’At Hissa 4 safa 2 n

—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button