Taraweeh Namaz Ke Masail
Masla: TARAWEEH NAMAZ MARD WA AURAT SABKE LIYE SUNNAT-E-MUAKKIDA HAI ISKA TARK JAYEZ NAHI. Masla: Jamhur ka mazhab ye hai ke Taraweeh Namaz bees (20) rakatein hain aur yehi ahadees se sabit. Masla: Taraweeh ka waqt isha amaz ke farz padhne ke baad se subha sadiq ikalne tak hai. Masla: Taraweeh Namaz Mein jamaat sunnat-e-kiffaya hai ke agar masjid ke sab log chhodh denge to gunehgar honge. Aur agar kisi ek (1) e ghar Mein tanha padhli to gunehgar Nahin. Masla: Taraweeh Namaz masjid Mein ba jamat Padhna Afzal Hai. Agar Ghar Mein Jamat Se Padhi, To Jamat ke tark ka gunah a hua, magar woh sawab a milenga jo masjid mein padhne ka tha. Masla: Agar fout ho jaayein, to inki qaza ahin aur agar qaza tanha padhli to Taraweeh amaz Nahi balki afl mustahab hai. Masla: Taraweeh Namaz Mein ek (1) baar quran-e-majid khatam karna sunnat-e-muakkida hai. Logon ki susti ki wajah se khatam ko tark a kare. Masla: Agar muqtadiyon par girani ho, to attahiyat ke baad ? ? par iktefa kare. Masla: Agar ek (1) khatm karna ho, to behtar hai ke sattawis (27) shab mein khatm ho. Phir agar Iss Raat Mein ya iske pehle khatm ho to Taraweeh ki amaz aakhir ramzan tak Barabar padhte rahe ke sunnat-e-muakkida hai. Masla: Afzal ye hai ke ek imam ke peeche Taraweeh Namaz padhe aur do (2) ke peeche padhna chaahe, to behtar hai ke poore Taraweeh ki amaz par imam badle maslan aanth (8) ek (1) ke peeche aur baarah (12) doosre ke. Masla: Ramzan sharif Mein witr jamat ke saath padhna afzal hai. Khwah Usi imam ke peeche ji ke peeche isha wa Taraweeh amaz padhi hai ya doosre ke peeche. Masla: Ye jayez hai ke ek (1) shakhs isha, wa witr padhaye doosra Taraweeh ki amaz. Masla: Agar isha jamat se padhe aur Taraweeh ki amaz tanha, to witr ki jamat mein sharik ho sakta hai . Masla: Agar isha tanha padhli, agarche Taraweeh amaz ba’jamat padhi to witr tanha padhe. Masla : Muqtadi ko ye jaayez Nahin ke baitha rahe jab imam ruku karne ko ho, to khadha ho jaaye ke ye munafiqeen se mushabahat hai. Allah Ta’ala irshad farmata hai ?Munafiq jab amaz ko khade hote hain to thake jise.” n(Sura-e-nisa aayat o 142). Masla: Taraweeh Namaz ramzan ki har shab Mein bees (20) rakat sunnat-e-muakkida hai. Baaz log ye karte hai ke che (6) din ya dus (10) Din Mein poora quran sharif soon kar poore ramzan Taraweeh ki amaz Nahin padhte. Woh gunehgar aur fasiq hai. Woh ramzan-ul-mubaraq ki baqiya (Baaqi) raaton Mein bhi Taraweeh amaz padhe. Luqma dene ke masail Masla: Imam agar bhool jaaye to luqma dena jaayez hai aur agar imam e luqma le liya to Uss par sajda-e-sahw Nahin. Masla : Fauran luqma dena makrooh hai. Thoda tawaqquf (theherna) chahiye ke shayed imam khud ikaal le. Masla: Imam ko makrooh hai ke muqtadiyon ko luqma dene par majboor kare. Balki kisi doosri sureh ki taraf muntaqil ho jaaye, ya doosri aayat shuru karde bashart ye ke Uska Wasl mufside amaz aho . Masla: Gari (imam) ko pareshan karne ki Niyat se luqma dena haraam hai. n(Fatwa-e-razwiya) n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—