Unlogo Ko Meri Taraf Bhejdena Aur Kehna Hawala (Reference) Unse Lelo! nZimmedari Aapki Nahi Zimmedari Meri Hai Aur Meri Zimmedari Par Garaj Ke Duniya Ko Batate Firo! nKya? nYe Sunne Waali Baat Hai, Ummul Momineen Hazrat Aaisha Siddiqa RadiAllahu Ta?ala Anha Ghar Baithi Hain. nWalid-E-Girami Sayyeduna Abu Bakr رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ Siddiq RadiAllahu Ta?ala Anhu Paas Baithe Hain. nUmmul Momineen Hazrat Aaisha Siddiqa RadiAllahu Anha Puchti Hain: ?Ya Abat! Inni Ara? Yu Kassiru Kann Nazra Ila Wajhe Aliyyun nAbbajaan! Mai Hamesha Dekhti Hun, Jab Kabhi Aap Majlis Me Ikatthe Baithe Hon, To Aap Tik Taki Baandh Kar Hazrat Ali رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ Ka Chehra He Takte Rehte Hain Iski Wajah Kya Hai? nYe Baat Gharke Andar Horahi Hai, Aur Khud Bahar Saare Jahan Ko Bata Diya! nSayyeduna Siddiq-E-Akbar RadiAllahu Anhu
Dete Hain: Beta, ?Wallazi Nafsi Beyadihi?, Us Rab Ki Kasam Jiske Kabza-E-Qudrat Me Meri Jaan Hai. n?Samne Tu RasoolAllahi SallAllahu Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Ya Qool, n?AN NAZRU ILA WAJHE ALIYYUN IBADATUN? Farmaya Beti Aaisha Maine Rasool ﷺ-E-Pak SallAllahu Alaihi Wa Aalihi Wa Aalihi Wa Sallam Ki Zuban-E-Pak Se Suna, Aapne Farmaya: n?ALI رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ KE CHEHRE KO TAKNA BHI IBADAT HAI.” Agar Kisiko Door Se Dekhne Ka Mauka Mile Aur Maula Ali رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ Sher-E-Khuda Doorse Kahi Jaarahe Hon Aur Unke Chehre Pe Nazar Na Pad Sake, To Uska Kya Hoga, Usko Ye Sa?aadat Milegi Ya Nahi Milegi? Allah Ki Izzat Ki Qasam! Hazrat Aaisha Siddiqa Ki Dusri Riwayat Hai. Hadees Ki Dusri Kitab Me Farmati Hain: Haan Jo Ali رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ Sher-E-Khuda Ka Chehra-E-Pak Na Dekh Sake, Usko Bhi Sunlo, Farmaya Huzoor Ne Ye Bhi Farmaya: n?AN NAZRU ILA ALIYYUN IBADATUN? Chehra To Na Tak Sake, Jidhar Ali رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ Jaarahe Hon, Bus Unko Jaate Hue Taklena (Dekhlena) Bhi Ibadat Hai!! Jisne Chehra Dekhliya Ibadat Karli, Jisne Ali رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ Ki Pusht Dekhli Ibadat Karli! Ab Aapke Liye Puchraha Hun, Ek Teesra Sawal Kiya Maine Ummul Momineen Se Ke Wo To Sharaf Unlogo Ko Tha Jo Us Zamane Me The. Aur Hum Jo Aaj Hain Na Zahiran Chehra-E-Pak Tak Sakte Hain Na Pusht Mubarak Dekh Sakte Hain. Zahiran Nahi Dekhsakte. To Hum Bhi To Baithe Hain Hame Bhi Koi Milega Ke Nahi Us Bargah Se Khayrat? Hazrat Aaisha Siddiqa Ki Teesri Riwayat Hai, Teesre Muqaam Par Farmati Hain: Haan Tumhe Bhi Ajr Milega! Kyunki Huzoor Ne Ye Bhi Farmaya: n?ZIKRU ALIYYUN IBADATUN?* Khuda Ki Qasam Jo Ali رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ Ko Dekh Na Sake Sirf ALI رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ KA ZIKR Karle Ye Bhi Ibadat Hai! Ali Ka Zikr Karna Ibadat Hai, Arey Muhibban-E-Ali رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ, Ali رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ Ka Zikr Karna Ibadat Hai, Isliye Aao Thodi Der Milkar Ibadat Kare Khuda Ki, Kaho ALI رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ALI رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ.? n(SallAllahu Alaihi Wa Ala Aalihi Wa Sahbihi Wa Baarak Wa Sallam, KarramAllahu Wajhahul Kareem, Ridwanullahi Ta?ala Alaihim Ajmaeen) Shaykh-Ul-Islam Dr. Tahir-Ul-Qadri Beshak Hazrate Ali رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ Karmullah Wajhul Kareem Hi Azeem Shakhsiyat Hi. Mufti Sahab Riwayat Ek Baar Padhkar Rehnumai Karde? Kye Dr TAHIRUL QADRI K Refrence Say Hi. ANSWER Jo Puri Riwayat Bayan Ki Gayi Wo Mere Ilm Me To Nahi Haan Al Mustadrak Ki Riwayat Me Ye Zikr Hai Ke ?Ali رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ Ko Dekhna Ibadat Hai? Yahan Ibadat Sawaab Ke Ma?na Me Hai. Magar Is Se Ye Jumla Kehna Ke Aao Ibadat Karein Khuda Ki Kaho Ali رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ Ali رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ, Bahot Sakht Jumla Maloom Hota Hai. Aur Khusoosan Tahirul Kadri Jis Par Hamare Ulama Ne Kufr Ka Fatwa Saadir Kiya Hai. Us Ki Baato Tareero Bayanaat Ko Sunne Parhne Se Parhez Karein Aur Apne Iman Ki Hifazat Karein. n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—