Masail

Yaani 12 Rabi-ul-awwal Ko Hui. Phir Is Din Khushi Kaise Mana Sakte Hai ? nYeh Toh Gam Manane Ka Din Hua ? n

Yaad Rakhe Ki Sog (Gam Manana) Sirf Teen (3) Din Hai Siwaye Bewa Ke: “Kisi Aurat Ke Liye Jo ALLAH ? Aur Akhirat Par Imaan Rakhti Hai, Halal Nahi Ki Zyada Shauhar Ke Siwa Kisi Mayyat Par Teen (3) Din Se Zyada Sog Manaye”. Sahih Bukhari, Hadees: 1280, Sahih Muslim, Hadees: 3814 Aur Yeh Bhi Yaad Rakhein Ki ek Lamha Ke Liye Apni Shaan Ke Mutabiq Maut Ka Maza Chakhne Ke Baad Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Zinda Hai. 12 Rabi-ul-awwal Ko Hi Wiladat Aur Wafat Dono Hone Ke Bawajood Bhi Is Din Gam Nahi Manaya Ja Sakta. Kyunki Jummah Ke Din Adam عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ Alaihis Salam Banaye Gaye Aur Usi Din Wisaal Bhi Hua. Phir Bhi ALLAH ? Ne Jummah Ko Musalmano Ke Liye Eid Ka Din Banaya Hai. Jaisa Ki Pehli Hadees Aur Tafseel Guzar Chuki. Isiliye 12 Rabi-ul-awwal Ko Khushi Manayi Jaayegi. Gam Nahi Manaya Jaayega. Aur Haan ! Mukhalifeen Ko Qayamat Ke Din ALLAH ? Se Yeh Sawal Zaroori Karna Chahiye Ki Jummah Ko Hi Adam عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ Ki Takhleeq Aur Wisaal Ke Bawajood Usey Eid Kyu Karar Diya? Gam Aur Khushi Ka Din Bana Kar Gam wa Afsos Zaahir Karne Se Kyu Mana Kar Diya ?

—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button