Masail
Zaid Namaz Padne Masjid Me Gaya Khade Hoker Wazu Kiya, Khade Ho Ke Sunnat Or Farz Namaze Padhi.
Lekin Nafil Namaz Baith Kar Padhi. To Kya Uski Namaz Ho Gayi Khas(Nafil Namaz) Me Kya Hukum Hoga. Jawab: Nafl Namaz Baith Kar Padhne Mein Harj Nahi. Magar Khade Ho Kar Padhne Mein Duguna Sawab Hai. Haan Sunnat E Muakkidah O Wajib O Farz Khade Ho Kar Padhe. Bila Uzr Ye Namaze Baith Kar Padhne Ki Ijazat Nahi. n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—