Masjid Ke Imam Sahab ne Azaan di Aur Jamat ke waqt Baitul Qala mein The
Aur Logon ko Nahi Maloom Ke wo Masjid mein Maujood hain. Kisi e Imam sahab se Ijazat ahi li Aur waqt e Muqarrara se 5 minute zyada hojane par kisi aur ko Namaz Padhane ke liye Kaha gaya. Aur Namaz Ba Jamaat Ada karli Gayi. Namaz Ke Baad Muqarrara Imam Sahab Ne Kaha Ke Kisi ki Namaz Nahi hui. Kyunki Imam Masjid mein the unki ijazat ke baghair Jamaat qayem ki gayi. Lihaza dobara jamaat qayem karke Namaz Adaa ki gayi. Kya Ye Durust Hai? Kya waqai pehle qayem ki hui Jamaat Ghalat hai? Kya doosri Namaz ka alag sawab milta hai? Baraye Meherbani Jawab Inayat Farmayein. Jawab: Jo Muqtadi Har waqt rehte hain wo maujood the to Ye Jamaat e Ula ho gayi. Imam ka ye kehna ke kisi ki Namaz a hui Jihaalat hai. Haan! Imam ka Intezar karna zaruri tha, magar jab ke Ye Ma’loom tha ke Imam Maujood hi ahi aur kuch der Intezar bhi kiya gaya to is me koi gunah ahi. Wa-Allahu Ta’ala A’lam n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—